hijr ke gham main kha ke lata hun
hijr ke ġham maiñ khā ke laatā huuñ
ḳhvāb apne manā ke laatā huuñ
sach kī hiddat se kaam lete ho
jhuuT ko maiñ bulā ke laatā huuñ
kyā kahā chāñd chāhiye baiTho
aaj vo bhī churā ke laatā huuñ
ḳhvāb meñ jo vo saath hotī hai
us ko dulhan banā ke laatā huuñ
kyā tumheñ tohfa chāhiye Thahro
hāthoñ par sar sajā ke laatā huuñ
ishq mujh par asar nahīñ kartā
roz us ko ghumā ke laatā huuñ
is mohabbat pe tum yaqīñ kar lo
hukm saare ḳhudā ke laatā huuñ
Duub jaatā hai kyuuñ yahāñ har baar
raaz maiñ nā-ḳhudā ke laatā huuñ
kuchh asar hotā hī nahīñ us par
sher kitne banā ke laatā huuñ
apne hāthoñ se sauñpnā mujh ko
apne ġham ko manā ke laatā huuñ
hijr ke gham main kha ke lata hun
KHwab apne mana ke lata hun
sach ki hiddat se kaam lete ho
jhuT ko main bula ke lata hun
kya kaha chand chahiye baiTho
aaj wo bhi chura ke lata hun
KHwab mein jo wo sath hoti hai
us ko dulhan bana ke lata hun
kya tumhein tohfa chahiye Thahro
hathon par sar saja ke lata hun
ishq mujh par asar nahin karta
roz us ko ghuma ke lata hun
is mohabbat pe tum yaqin kar lo
hukm sare KHuda ke lata hun
Dub jata hai kyun yahan har bar
raaz main na-KHuda ke lata hun
kuchh asar hota hi nahin us par
sher kitne bana ke lata hun
apne hathon se saunpna mujh ko
apne gham ko mana ke lata hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.