hijr ke kuchh haalat to sun lo
hijr ke kuchh hālāt to sun lo
rūdād-e-āfāt to sun lo
aa.e ho to ruk kar jaanā
baiTh bhī jaao baat to sun lo
kaise guzārī kaise guzrī
hijr kī ham ne raat to sun lo
toḌ bhī do ab ye ḳhāmoshī
maan bhī jaao baat to sun lo
donoñ jahāñ se huuñ begāna
un ke ehsānāt to sun lo
nāzish-e-gulshan nāz-e-bahārāñ
kam se kam ik baat to sun lo
jalva-numā vo aaj haiñ 'paikāñ'
kaisī hai ye raat to sun lo
hijr ke kuchh haalat to sun lo
rudad-e-afat to sun lo
aae ho to ruk kar jaana
baiTh bhi jao baat to sun lo
kaise guzari kaise guzri
hijr ki hum ne raat to sun lo
toD bhi do ab ye KHamoshi
man bhi jao baat to sun lo
donon jahan se hun begana
un ke ehsanat to sun lo
nazish-e-gulshan naz-e-bahaaran
kam se kam ek baat to sun lo
jalwa-numa wo aaj hain 'paikan'
kaisi hai ye raat to sun lo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.