hijr ki aag mein azab mein na de
hijr kī aag meñ azaab meñ na de
misl-e-sīmāb iztirāb na de
sandalī husn hai tirā darkār
dard-e-sar kuuñ mire gulāb na de
bas tirā daur-e-chashm ai saaqī
hosh khone mujhe sharāb na de
zāhid-e-ḳhushk kuuñ sharāb na de
aag de ḳhār-o-ḳhas ko aab na de
apne māroñ ko mat pareshāñ kar
zulf-e-mushkīñ kuuñ pech-o-tāb na de
āshiqoñ kuuñ hai lazzat-e-dushnām
har kamīne kuuñ ye ḳhitāb na de
kis ne ai bahr-e-husn tujh kuuñ kahā
ki kisī tishna-lab kuuñ aab na de
kaam jāhil kā hai suḳhan-chīnī
ai 'sirāj' us kuuñ tū javāb na de
hijr ki aag mein azab mein na de
misl-e-simab iztirab na de
sandali husn hai tera darkar
dard-e-sar kun mere gulab na de
bas tera daur-e-chashm ai saqi
hosh khone mujhe sharab na de
zahid-e-KHushk kun sharab na de
aag de KHar-o-KHas ko aab na de
apne maron ko mat pareshan kar
zulf-e-mushkin kun pech-o-tab na de
aashiqon kun hai lazzat-e-dushnam
har kamine kun ye KHitab na de
kis ne ai bahr-e-husn tujh kun kaha
ki kisi tishna-lab kun aab na de
kaam jahil ka hai suKHan-chini
ai 'siraj' us kun tu jawab na de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.