hijr ki andhi bahri raaten
hijr kī andhī bahrī rāteñ
tan-man pyāsā bhīgī rāteñ
chaaT ga.ī haiñ umr kā sonā
aañkh meñ Thahrī gahrī rāteñ
mujh se ḳhuub lipaT kar roiiñ
suunī shaam añdherī rāteñ
sandal bāteñ ḳhushbū lahja
kahāñ ga.iiñ vo mahkī rāteñ
ham tum jhiil kināre jaage
gaañv kī shab aur shahrī rāteñ
taarā taarā bikhar ga.ī thiiñ
vasl meñ Duubī chāñdnī rāteñ
ban ke pāgal purvā DhūñDūñ
lahreñ sāhil bhīgī rāteñ
january farvarī aur december
ThanD meñ jaagī ThiThurī rāteñ
'shafaq' ke soch-nagar meñ Thahrīñ
dhund meñ lipTī kaisī rāteñ
hijr ki andhi bahri raaten
tan-man pyasa bhigi raaten
chaT gai hain umr ka sona
aankh mein Thahri gahri raaten
mujh se KHub lipaT kar roin
suni sham andheri raaten
sandal baaten KHushbu lahja
kahan gain wo mahki raaten
hum tum jhil kinare jage
ganw ki shab aur shahri raaten
tara tara bikhar gai thin
wasl mein Dubi chandni raaten
ban ke pagal purwa DhunDun
lahren sahil bhigi raaten
january farwari aur december
ThanD mein jagi ThiThuri raaten
'shafaq' ke soch-nagar mein Thahrin
dhund mein lipTi kaisi raaten
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.