hijr ki bhigi hui raat udasi aur main
hijr kī bhīgī huī raat udāsī aur maiñ
aaj phir ro.e haiñ barsāt udāsī aur maiñ
ho ke majbūr kiyā us ko havāle us ke
aise aa.e haiñ mire haat udāsī aur maiñ
chand aañsū mirī āñkhoñ se nikal aate haiñ
jab bhī karte haiñ tirī baat udāsī aur maiñ
baiTh jaate haiñ tirī yaad liye terrace par
roz karte haiñ mulāqāt udāsī aur maiñ
jab koī aur mayassar nahīñ hotā mujh ko
tab bhī hote haiñ mire saath udāsī aur maiñ
hijr ki bhigi hui raat udasi aur main
aaj phir roe hain barsat udasi aur main
ho ke majbur kiya us ko hawale us ke
aise aae hain mere hat udasi aur main
chand aansu meri aankhon se nikal aate hain
jab bhi karte hain teri baat udasi aur main
baiTh jate hain teri yaad liye terrace par
roz karte hain mulaqat udasi aur main
jab koi aur mayassar nahin hota mujh ko
tab bhi hote hain mere sath udasi aur main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.