hijr ki dastan nai likhkhun
hijr kī dāstāñ na.ī likhkhūñ
raat kāTūñ magar sadī likhkhūñ
apnī ḳhātir faqat tujhe māñgūñ
tere hisse meñ har ḳhushī likhkhūñ
Dar hai tere firāq kā varna
jī meñ hai tujh ko zindagī likhkhūñ
gardish-e-roz-o-shab batā tū hī
kis kahī ko maiñ an-kahī likhkhūñ
daane daane pe bhuuk sabt karūñ
qatre qatre pe tishnagī likhkhūñ
mujh ko itnī zamīn bhī na milī
jis ko ghar jānūñ be-gharī likhkhūñ
vo 'sudhākar' huuñ ik ‘sudhākar’ meñ
jism kī sochūñ ruuh kī likhkhūñ
hijr ki dastan nai likhkhun
raat kaTun magar sadi likhkhun
apni KHatir faqat tujhe mangun
tere hisse mein har KHushi likhkhun
Dar hai tere firaq ka warna
ji mein hai tujh ko zindagi likhkhun
gardish-e-roz-o-shab bata tu hi
kis kahi ko main an-kahi likhkhun
dane dane pe bhuk sabt karun
qatre qatre pe tishnagi likhkhun
mujh ko itni zamin bhi na mili
jis ko ghar jaanun be-ghari likhkhun
wo 'sudhakar' hun ek ‘sudhakar’ mein
jism ki sochun ruh ki likhkhun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.