hijr ki ranai mujhse chhin li
hijr kī ra.anā.ī mujh se chhīn lī
yaad ne tanhā.ī mujh se chhīn lī
aañkh khulte hī tumhārī yaad ne
TūTtī añgḌā.ī mujh se chhīn lī
us ke hoñToñ kī shafaq ne aaj phir
quvvat-e-goyā.ī mujh se chhīn lī
haath meñ us ne thamāyā ik diyā
aur phir bīnā.ī mujh se chhīn lī
dil meñ jiine kī jo ḳhvāhish thī kabhī
tū ne vo harjā.ī mujh se chhīn lī
dast-e-duniyā ne kabhī taqdīr ne
chiiz jo bhī bhaa.ī mujh se chhīn lī
in mashīnoñ ne mashīnī daur ne
ḳhūbī-o-zebā.ī mujh se chhīn lī
hijr ki ranai mujh se chhin li
yaad ne tanhai mujh se chhin li
aankh khulte hi tumhaari yaad ne
TuTti angDai mujh se chhin li
us ke honTon ki shafaq ne aaj phir
quwwat-e-goyai mujh se chhin li
hath mein us ne thamaya ek diya
aur phir binai mujh se chhin li
dil mein jine ki jo KHwahish thi kabhi
tu ne wo harjai mujh se chhin li
dast-e-duniya ne kabhi taqdir ne
chiz jo bhi bhai mujh se chhin li
in mashinon ne mashini daur ne
KHubi-o-zebai mujh se chhin li
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.