hijr ki raat aur kya karte
hijr kī raat aur kyā karte
tere aane kī bas duā karte
ham se tauhīn-e-ishq ho na sakī
kis tarah arz-e-mudda.ā karte
uñgliyāñ ho ga.iiñ figār apnī
kitne maktūb ham likhā karte
daar pe ham ko khīñchne vaalo
ham bahar-hāl haq kahā karte
jab ki māhaul hī burā hai 'muīn'
kyā kisī se koī gila karte
hijr ki raat aur kya karte
tere aane ki bas dua karte
hum se tauhin-e-ishq ho na saki
kis tarah arz-e-muddaa karte
ungliyan ho gain figar apni
kitne maktub hum likha karte
dar pe hum ko khinchne walo
hum bahar-haal haq kaha karte
jab ki mahaul hi bura hai 'muin'
kya kisi se koi gila karte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.