hijr ki raat hai isko shab-e-matam na bana
hijr kī raat hai is ko shab-e-mātam na banā
vasl lamhoñ ko sajā zamzama-e-ġham na banā
kirchiyāñ TuuT ke bikhrī haiñ tire chāroñ-taraf
reza-e-dil ko uThā zaḳhm kā marham na banā
gar bichhaḌnā hai to ik faisla kar lete haiñ
is ko taqdīr samajh dard kā mausam na banā
saare sapne bahā le jā.eñge aañsū tere
nīm-ḳhvāb āñkhoñ ko tū dīda-e-pur-nam na banā
ai musavvir tire in hāthoñ meñ larzish kyuuñ hai
rang tasvīr meñ bhar le use maddham na banā
har musāfir meñ ta.alluq ho zarūrī to nahīñ
un kā dukh-dard samajh pyaar kā sangam na banā
ab to yādoñ ke sivā kuchh nahīñ 'shahnāz' ke paas
apnī āvāz dabā ik nayā sargam na banā
hijr ki raat hai is ko shab-e-matam na bana
wasl lamhon ko saja zamzama-e-gham na bana
kirchiyan TuT ke bikhri hain tere chaaron-taraf
reza-e-dil ko uTha zaKHm ka marham na bana
gar bichhaDna hai to ek faisla kar lete hain
is ko taqdir samajh dard ka mausam na bana
sare sapne baha le jaenge aansu tere
nim-KHwab aankhon ko tu dida-e-pur-nam na bana
ai musawwir tere in hathon mein larzish kyun hai
rang taswir mein bhar le use maddham na bana
har musafir mein talluq ho zaruri to nahin
un ka dukh-dard samajh pyar ka sangam na bana
ab to yaadon ke siwa kuchh nahin 'shahnaz' ke pas
apni aawaz daba ek naya sargam na bana
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.