hijr ki raat hai virana hai tanhai hai
hijr kī raat hai vīrāna hai tanhā.ī hai
dil lagāne kī ajab ham ne sazā paa.ī hai
ik na.e azm na.e josh ko dekhā ham ne
tere āshiq meñ na.ī baat nazar aa.ī hai
mal ke hāthoñ pe merā ḳhūn-e-jigar kahne lage
rang kaisā mire hāthoñ pe hinā laa.ī hai
terī sohbat bhī mire nang kā baa.is hai samajh
mere milne se sanam gar tirī rusvā.ī hai
aur kyā is ke sivā hogī ibādat nāseh
yaar kā naqsh-e-kaf-e-pā hai jabīñ-sā.ī hai
mahfil-e-nāz kī ye saarī kashish hai 'nāzī'
varna taqdīr mujhe khīñch ke kyoñ laa.ī hai
hijr ki raat hai virana hai tanhai hai
dil lagane ki ajab hum ne saza pai hai
ek nae azm nae josh ko dekha hum ne
tere aashiq mein nai baat nazar aai hai
mal ke hathon pe mera KHun-e-jigar kahne lage
rang kaisa mere hathon pe hina lai hai
teri sohbat bhi mere nang ka bais hai samajh
mere milne se sanam gar teri ruswai hai
aur kya is ke siwa hogi ibaadat naseh
yar ka naqsh-e-kaf-e-pa hai jabin-sai hai
mahfil-e-naz ki ye sari kashish hai 'nazi'
warna taqdir mujhe khinch ke kyon lai hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.