hijr ki sham aaKHiri to nahin
hijr kī shaam āḳhirī to nahīñ
merī hai kaun vo mirī to nahīñ
baat merī hai ki bichhaḌte haiñ
māntā huuñ magar kahī to nahīñ
tum ko jaanā hai to chalī jaao
āñkheñ kholīñ haiñ tū ga.ī to nahīñ
kyā thā vo hiir kī kahānī meñ
jo yahāñ pe huā vahī to nahīñ
muskurāte ho merī ġhurbat par
ye kisī par sadā rahī to nahīñ
ye jo chaltī hai zindagī hai mirī
jis ko ruknā thā vo rukī to nahīñ
hijr ki sham aaKHiri to nahin
meri hai kaun wo meri to nahin
baat meri hai ki bichhaDte hain
manta hun magar kahi to nahin
tum ko jaana hai to chali jao
aankhen kholin hain tu gai to nahin
kya tha wo hir ki kahani mein
jo yahan pe hua wahi to nahin
muskuraate ho meri ghurbat par
ye kisi par sada rahi to nahin
ye jo chalti hai zindagi hai meri
jis ko rukna tha wo ruki to nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.