hijr ki shab jo tabiat kabhi ghabrai hai
hijr kī shab jo tabī.at kabhī ghabrā.ī hai
tū na aayā to terī yaad bahut aa.ī hai
pur-ḳhatar kitnī ye māhaul kī tanhā.ī hai
dil se ik baat na niklī thī ki ik aa.ī hai
dast-e-ulfat dil-e-be-kal kī taraf yuuñ laa.e
koī samjhe ye tirā naaz hai añgḌā.ī hai
hādse haiñ abhī kitne isī ḳhatre ke tahat
is meñ rusvā.ī hai is meñ tirī rusvā.ī hai
vo tire sar kī qasam khāte haiñ ya.anī ki 'ḳhalīl'
ek kāfir ne musalmāñ kī qasam khaa.ī hai
hijr ki shab jo tabiat kabhi ghabrai hai
tu na aaya to teri yaad bahut aai hai
pur-KHatar kitni ye mahaul ki tanhai hai
dil se ek baat na nikli thi ki ek aai hai
dast-e-ulfat dil-e-be-kal ki taraf yun lae
koi samjhe ye tera naz hai angDai hai
hadse hain abhi kitne isi KHatre ke tahat
is mein ruswai hai is mein teri ruswai hai
wo tere sar ki qasam khate hain yani ki 'KHalil'
ek kafir ne musalman ki qasam khai hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.