hijr ki shab zulf-e-barham ka KHayal aata raha
hijr ki shab zulf-e-barham ka KHayal aata raha
Abbas Ali Khan Bekhud
MORE BYAbbas Ali Khan Bekhud
hijr kī shab zulf-e-barham kā ḳhayāl aatā rahā
ik na ik har din mire sar par vabāl aatā rahā
shukr hai tārīk dil meñ raushnī ke vāste
go tasavvur meñ sahī us kā jamāl aatā rahā
hai karam us kā ki ham se be-basar ke vāste
ālam-e-amsāl meñ vo be-misāl aatā rahā
bhūlne vaale ko āḳhir dil bhulā.e kis tarah
be-ḳhayālī meñ bhī jab us kā ḳhayāl aatā rahā
maiñ ne apnī ḳhastagī kī daad paa.ī is tarah
mere arz-e-hāl par un ko jalāl aatā rahā
bas yahī kyā kam hai merī sāf-goī kī dalīl
un ke dil meñ merī jānib se malāl aatā rahā
kyā bigaḌ jaatā jo ho jaatī tavajjoh kī nazar
muddatoñ dar par gadā-e-be-savāl aatā rahā
mujh ko 'beḳhud' jab kabhī aayā hai tauba kā ḳhayāl
der tak apne gunāhoñ kā ḳhayāl aatā rahā
hijr ki shab zulf-e-barham ka KHayal aata raha
ek na ek har din mere sar par wabaal aata raha
shukr hai tarik dil mein raushni ke waste
go tasawwur mein sahi us ka jamal aata raha
hai karam us ka ki hum se be-basar ke waste
aalam-e-amsal mein wo be-misal aata raha
bhulne wale ko aaKHir dil bhulae kis tarah
be-KHayali mein bhi jab us ka KHayal aata raha
main ne apni KHastagi ki dad pai is tarah
mere arz-e-haal par un ko jalal aata raha
bas yahi kya kam hai meri saf-goi ki dalil
un ke dil mein meri jaanib se malal aata raha
kya bigaD jata jo ho jati tawajjoh ki nazar
muddaton dar par gada-e-be-sawal aata raha
mujh ko 'beKHud' jab kabhi aaya hai tauba ka KHayal
der tak apne gunahon ka KHayal aata raha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.