hijr kuchh is tarah guzara hai
hijr kuchh is tarah guzārā hai
vasl kah kar use pukārā hai
ek tanhā.ī thī mirī apnī
is pe bhī us kā hī ijāra hai
umr itnī abhī huī to nahīñ
jitnā maiñ ne use guzārā hai
faisla ho nahīñ sakā ab tak
kaun se ġham ne mujh ko maarā hai
zindagī phir bhī mere jaisī rahī
maiñ ne to is ko hī sañvārā hai
merī jānib hai aap kī uñglī
par kisī aur kā ishāra hai
hijr kuchh is tarah guzara hai
wasl kah kar use pukara hai
ek tanhai thi meri apni
is pe bhi us ka hi ijara hai
umr itni abhi hui to nahin
jitna main ne use guzara hai
faisla ho nahin saka ab tak
kaun se gham ne mujh ko mara hai
zindagi phir bhi mere jaisi rahi
main ne to is ko hi sanwara hai
meri jaanib hai aap ki ungli
par kisi aur ka ishaara hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.