hijr mein dil ka dagh jalta hai
hijr meñ dil kā daaġh jaltā hai
be-kasī kā charāġh jaltā hai
dil jalāte ho sard-mehrī se
is tarah bhī charāġh jaltā hai
merī āñkhoñ meñ un kā jalva hai
aa.ine meñ charāġh jaltā hai
dam hai āñkhoñ meñ nabzeñ Duubī haiñ
dhīmā dhīmā charāġh jaltā hai
shola-e-āh ye nahīñ hai 'safīr'
hasratoñ kā charāġh jaltā hai
hijr mein dil ka dagh jalta hai
be-kasi ka charagh jalta hai
dil jalate ho sard-mehri se
is tarah bhi charagh jalta hai
meri aankhon mein un ka jalwa hai
aaine mein charagh jalta hai
dam hai aankhon mein nabzen Dubi hain
dhima dhima charagh jalta hai
shola-e-ah ye nahin hai 'safir'
hasraton ka charagh jalta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.