hijr mein jis dam rote rote aankhen jal ho jaen
hijr meñ jis dam rote rote āñkheñ jal ho jaa.eñ
putlī meñ jo aap base haiñ jal meñ kañval ho jaa.eñ
pyaar ke sāgar kī tairākī khel nahīñ hai koī
tūfānoñ se laḌte laḌte baazū shal ho jaa.eñ
tum jo ho sīmāb-sifat to ham bhī Dhaltī chhāñv
tum jo raho va.ade par qaa.em ham bhī aTal ho jaa.eñ
pyaar kī baazī hārnā hai to puurī kar leñ haar
dil to haarā jaan bhī hāreñ raaja nal ho jaa.eñ
apnā na samjho ġhair samajh kar kah do ye ik baar
tum na agar apnāo to ham nazr-e-ajal ho jaa.eñ
un kī raat meñ itne sajde 'mehr' kiye ham ne
naqsh-e-qadam un ke na kisī din dil kā badal ho jaa.eñ
hijr mein jis dam rote rote aankhen jal ho jaen
putli mein jo aap base hain jal mein kanwal ho jaen
pyar ke sagar ki tairaki khel nahin hai koi
tufanon se laDte laDte bazu shal ho jaen
tum jo ho simab-sifat to hum bhi Dhalti chhanw
tum jo raho wade par qaem hum bhi aTal ho jaen
pyar ki bazi haarna hai to puri kar len haar
dil to haara jaan bhi haaren raja nal ho jaen
apna na samjho ghair samajh kar kah do ye ek bar
tum na agar apnao to hum nazr-e-ajal ho jaen
un ki raat mein itne sajde 'mehr' kiye hum ne
naqsh-e-qadam un ke na kisi din dil ka badal ho jaen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.