hijr mein jo ashk-e-chashm-e-tar gira
hijr meñ jo ashk-e-chashm-e-tar girā
ik payām hāl-e-dil ban kar girā
dostoñ ke tanz kā ek ek tiir
barq ban ban kar mire dil par girā
jab uThāyā bazm se us shoḳh ne
maiñ uThā uTh kar chalā chal kar girā
vaa.e ik muflis kā thā sab kuchh vahī
in dinoñ sailāb meñ jo ghar girā
kyā ġhazab hai zindagī kī dauḌ meñ
rāhzan aage baḌhā rahbar girā
hijr mein jo ashk-e-chashm-e-tar gira
ek payam haal-e-dil ban kar gira
doston ke tanz ka ek ek tir
barq ban ban kar mere dil par gira
jab uThaya bazm se us shoKH ne
main uTha uTh kar chala chal kar gira
wae ek muflis ka tha sab kuchh wahi
in dinon sailab mein jo ghar gira
kya ghazab hai zindagi ki dauD mein
rahzan aage baDha rahbar gira
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.