hijr mein kuchh itne haibatnak ho jate hain hum
hijr meñ kuchh itne haibatnāk ho jaate haiñ ham
jūñhī ḳhud ko dekhte haiñ ḳhaak ho jaate haiñ ham
be-sabab apnī anā kī laash karte haiñ ḳharāb
'āshiqī meñ kis qadar saffāk ho jaate haiñ ham
aah vo āñkheñ ravāñ dariyā haiñ aur aisā ki bas
Duub kar achchhe-bhale tairāk ho jaate haiñ ham
khulte haiñ band-e-qabā jis vaqt daurān-e-visāl
shauq se misl-e-garebāñ chaak ho jaate haiñ ham
ḳhuub karte haiñ junūñ us ke badan ke dasht meñ
phir junūñ meñ shāmil-e-idrāk ho jaate haiñ ham
vo hameñ sharbat pilātā hai sharāboñ kī tarah
is fareb-e-āb meñ nāpāk ho jaate haiñ ham
hijr mein kuchh itne haibatnak ho jate hain hum
junhi KHud ko dekhte hain KHak ho jate hain hum
be-sabab apni ana ki lash karte hain KHarab
'ashiqi mein kis qadar saffak ho jate hain hum
aah wo aankhen rawan dariya hain aur aisa ki bas
Dub kar achchhe-bhale tairak ho jate hain hum
khulte hain band-e-qaba jis waqt dauran-e-visal
shauq se misl-e-gareban chaak ho jate hain hum
KHub karte hain junun us ke badan ke dasht mein
phir junun mein shamil-e-idrak ho jate hain hum
wo hamein sharbat pilata hai sharabon ki tarah
is fareb-e-ab mein napak ho jate hain hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.