hijr mein mujhko to ab KHud ka pata yaad nahin
hijr meñ mujh ko to ab ḳhud kā pata yaad nahīñ
tujh se bichhḌā huuñ to kuchh tere sivā yaad nahīñ
ik nazar dekh liyā maiñ ne use aaj kī shaam
mujh ko ab koī farishta yā ḳhudā yaad nahīñ
chhū liyā maiñ ne tire jism kā saaya jab se
kab kisī gul ko yahāñ maiñ ne chhuā yaad nahīñ
raat kī baat thī aur baat bhī ik raaz kī thī
maiñ ne jo kuchh bhī kahā us ne sunā yaad nahīñ
hijr mein mujh ko to ab KHud ka pata yaad nahin
tujh se bichhDa hun to kuchh tere siwa yaad nahin
ek nazar dekh liya main ne use aaj ki sham
mujh ko ab koi farishta ya KHuda yaad nahin
chhu liya main ne tere jism ka saya jab se
kab kisi gul ko yahan main ne chhua yaad nahin
raat ki baat thi aur baat bhi ek raaz ki thi
main ne jo kuchh bhi kaha us ne suna yaad nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.