Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hijr mein nashad duniya se dil-e-muztar gaya

Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi

hijr mein nashad duniya se dil-e-muztar gaya

Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi

MORE BYMunshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi

    hijr meñ nāshād duniyā se dil-e-muztar gayā

    aaj apne saath ik marne vaalā mar gayā

    sunñe vaale ḳhuub ro.e mere hāl-e-zār par

    yuuñ apnī umr paimāna āḳhir bhar gayā

    bāzū-e-qātil thakā.e saḳht-jānī ne mirī

    bārhā is haath se us haath meñ ḳhanjar gayā

    ham vahī gulshan vahī mahfil vahī sāmāñ vahī

    ek saaqī kyā gayā lutf-e-mai-o-sāġhar gayā

    ho ga.ī ġhairoñ ko bhī nākām marne havas

    maiñ kisī par jaan de kar kaam apnā kar gayā

    rūh-parvar hai nigāh-e-nāz qātil asar

    jis ko dekhā uThā jis ko na dekhā mar gayā

    maiñ kabhī royā to vo bole Duboyā nām-e-ishq

    aur agar aañsū liye to dil meñ dariyā bhar gayā

    aisī ġhaflat rahī gar mere hāl-e-zār par

    ek din ahbāb sun leñge 'nazar' bhī mar gayā

    hijr mein nashad duniya se dil-e-muztar gaya

    aaj apne sath ka ek marne wala mar gaya

    sunne wale KHub roe mere haal-e-zar par

    yun hi apni umr ka paimana aaKHir bhar gaya

    bazu-e-qatil thakae saKHt-jaani ne meri

    barha is hath se us hath mein KHanjar gaya

    hum wahi gulshan wahi mahfil wahi saman wahi

    ek saqi kya gaya lutf-e-mai-o-saghar gaya

    ho gai ghairon ko bhi nakaam marne ki hawas

    main kisi par jaan de kar kaam apna kar gaya

    ruh-parwar hai nigah-e-naz qatil ka asar

    jis ko dekha ji uTha jis ko na dekha mar gaya

    main kabhi roya to wo bole Duboya nam-e-ishq

    aur agar aansu pi liye to dil mein dariya bhar gaya

    aisi hi ghaflat rahi gar mere haal-e-zar par

    ek din ahbab sun lenge 'nazar' bhi mar gaya

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Join us for Rekhta Gujarati Utsav | 19th Jan 2025 | Bhavnagar

    Register for free
    Speak Now