hijr mein tere ThanDi aahen bharta hai
hijr meñ tere ThanDī aaheñ bhartā hai
ḳhālī kamra saa.eñ saa.eñ kartā hai
ashkoñ kī sūrat āñkhoñ ke sāhil par
roz nayā ik lashkar aan utartā hai
duniyā ne dil ko aur dil ne duniyā ko
donoñ ne hī apne taur pe bartā hai
jin āñkhoñ meñ ashk aa jaa.eñ asr ke baad
un āñkhoñ meñ sūraj Duub ke martā hai
ishq meñ jiinā bhī paḌ saktā hai 'tāsīr'
ishq kiyā hai to kaahe ko Dartā hai
hijr mein tere ThanDi aahen bharta hai
KHali kamra saen saen karta hai
ashkon ki surat aankhon ke sahil par
roz naya ek lashkar aan utarta hai
duniya ne dil ko aur dil ne duniya ko
donon ne hi apne taur pe barta hai
jin aankhon mein ashk aa jaen asr ke baad
un aankhon mein suraj Dub ke marta hai
ishq mein jina bhi paD sakta hai 'tasir'
ishq kiya hai to kahe ko Darta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.