hijr ne is tarah utare rang
hijr ne is tarah utāre rang
jaise the hī nahīñ hamāre rang
ek manzar se ho ga.e ghāyal
tum ne dekhe kahāñ haiñ saare rang
niiñd Thahrī huī thī palkoñ par
rah ga.e ḳhvāb ke kināre rang
naqsh ubhre tumhārī nazroñ se
aap kī aañkh ne nikhāre rang
kis qadar shaan se kashīd hue
kis qadar tamkanat se haare rang
surḳh joḌe kā intiḳhāb kiyā
laakh karte rahe ishāre rang
mere āñgan meñ kyā nahīñ maujūd
ḳhushbueñ titliyāñ sitāre rang
'roz' ko ḳhushbuoñ se nisbat hai
naam se munsalik haiñ saare rang
hijr ne is tarah utare rang
jaise the hi nahin hamare rang
ek manzar se ho gae ghayal
tum ne dekhe kahan hain sare rang
nind Thahri hui thi palkon par
rah gae KHwab ke kinare rang
naqsh ubhre tumhaari nazron se
aap ki aankh ne nikhaare rang
kis qadar shan se kashid hue
kis qadar tamkanat se haare rang
surKH joDe ka intiKHab kiya
lakh karte rahe ishaare rang
mere aangan mein kya nahin maujud
KHushbuen titliyan sitare rang
'roz' ko KHushbuon se nisbat hai
nam se munsalik hain sare rang
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.