hijr-o-gham mein apni aankh galani paDti hai
hijr-o-ġham meñ apnī aañkh galānī paḌtī hai
yā'nī apne dil kī baat batānī paḌtī hai
kaun 'ishq kar ke duniyā meñ ḳhush rah paatā hai
bas ḳhush rahne kī har rasm nibhānī paḌtī hai
haa.e kisī ko kho kar jiine kī majbūrī meñ
saañs ḳhud-ba-ḳhud kab chaltī hai chalānī paḌtī hai
baaqī rastoñ ke naqshe haiñ so manzil bhī hai
'ishq meñ lekin ḳhud kī raah banānī paḌtī hai
kaalī rāteñ rātoñ meñ ġham aur ġham meñ ham ko
behtar din kī ḳhātir raat bhulānī paḌtī hai
ġham de kar kuchh log chain se so lete hoñge
kuchh logoñ ko apnī niiñd gañvānī paḌtī hai
dil ke daure dene vaalī yā phir aañsū meñ
uljhāne vaalī har yaad miTānī paḌtī hai
hijr-o-gham mein apni aankh galani paDti hai
ya'ni apne dil ki baat batani paDti hai
kaun 'ishq kar ke duniya mein KHush rah pata hai
bas KHush rahne ki har rasm nibhani paDti hai
hae kisi ko kho kar jine ki majburi mein
sans KHud-ba-KHud kab chalti hai chalani paDti hai
baqi raston ke naqshe hain so manzil bhi hai
'ishq mein lekin KHud ki rah banani paDti hai
kali raaten raaton mein gham aur gham mein hum ko
behtar din ki KHatir raat bhulani paDti hai
gham de kar kuchh log chain se so lete honge
kuchh logon ko apni nind ganwani paDti hai
dil ke daure dene wali ya phir aansu mein
uljhane wali har yaad miTani paDti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.