hijr se dasht ko aabaad nahin rakkhunga
hijr se dasht ko ābād nahīñ rakkhūñgā
ishq meñ qais ko ustād nahīñ rakkhūñgā
dūsrī baar agar bhejā gayā duniyā meñ
aañkh aur soch ko āzād nahīñ rakkhūñgā
ḳhud se rishta hai mirā sirf tire hone tak
ye ta'alluq bhī tire baa'd nahīñ rakkhūñgā
tū ne Daalā nahīñ tārīḳh meñ kirdār mirā
raftgānī maiñ tujhe yaad nahīñ rakkhūñgā
terī dahlīz bhī chūmūñgā to ḳhuddārī se
hoñT rakhte hue fariyād nahīñ rakkhūñgā
tujh ko chāhūñgā tire saare parastāroñ samet
vahm par ishq kī buniyād nahīñ rakkhūñgā
hijr se dasht ko aabaad nahin rakkhunga
ishq mein qais ko ustad nahin rakkhunga
dusri bar agar bheja gaya duniya mein
aankh aur soch ko aazad nahin rakkhunga
KHud se rishta hai mera sirf tere hone tak
ye ta'alluq bhi tere ba'd nahin rakkhunga
tu ne Dala nahin tariKH mein kirdar mera
raftgani main tujhe yaad nahin rakkhunga
teri dahliz bhi chumunga to KHuddari se
honT rakhte hue fariyaad nahin rakkhunga
tujh ko chahunga tere sare parastaron samet
wahm par ishq ki buniyaad nahin rakkhunga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.