Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hijr-shab mein ek qarar-e-ghaebana chahiye

Muneer Niyazi

hijr-shab mein ek qarar-e-ghaebana chahiye

Muneer Niyazi

MORE BYMuneer Niyazi

    hijr-shab meñ ik qarār-e-ġhā.ebāna chāhiye

    ġhaib meñ ik sūrat-e-māh-e-shabāna chāhiye

    sun rahe haiñ jis ke charche shahr ḳhilqat se ham

    ke ik din us hasīñ ko dekh aanā chāhiye

    is tarah āġhāz shāyad ik hayāt-e-nau ho

    pichhlī saarī zindagī ko bhuul jaanā chāhiye

    vo jahāñ dūsrā hai vo bahut der-āshnā

    is jahāñ meñ us se milne ko zamāna chāhiye

    hijr-shab mein ek qarar-e-ghaebana chahiye

    ghaib mein ek surat-e-mah-e-shabana chahiye

    sun rahe hain jis ke charche shahr ki KHilqat se hum

    ja ke ek din us hasin ko dekh aana chahiye

    is tarah aaghaz shayad ek hayat-e-nau ka ho

    pichhli sari zindagi ko bhul jaana chahiye

    wo jahan hi dusra hai wo bahut der-ashna

    is jahan mein us se milne ko zamana chahiye

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now