hijr tera teri qurbat ka bahana ho gaya
hijr terā terī qurbat kā bahāna ho gayā
yaad meñ terī hamārā aanā jaanā ho gayā
aaj tujh ko ġhair ke hamrāh ḳhush dekhā to phir
ġham jo thā tujh se bichhaḌne kā tavānā ho gayā
umr bhar sahrā-navardī kā huā anjām ye
rafta rafta dil meñ vahshat kā Thikāna ho gayā
sañg-bārī meñ tasalsul kā natīja ye huā
tañg aa kar dil mirā ā.īna-ḳhāna ho gayā
dekhte hī dekhte tujh se ta.alluq ke sabab
maiñ hujūm-e-shahr meñ ik din yagāna ho gayā
hijr tera teri qurbat ka bahana ho gaya
yaad mein teri hamara aana jaana ho gaya
aaj tujh ko ghair ke hamrah KHush dekha to phir
gham jo tha tujh se bichhaDne ka tawana ho gaya
umr bhar sahra-nawardi ka hua anjam ye
rafta rafta dil mein wahshat ka Thikana ho gaya
sang-bari mein tasalsul ka natija ye hua
tang aa kar dil mera aaina-KHana ho gaya
dekhte hi dekhte tujh se talluq ke sabab
main hujum-e-shahr mein ek din yagana ho gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.