Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hijr tha ya visal kis ka tha

Ayaz Rasool Nazki

hijr tha ya visal kis ka tha

Ayaz Rasool Nazki

MORE BYAyaz Rasool Nazki

    hijr thā visāl kis thā

    ḳhvāb thā ḳhayāl kis thā

    sāmne vo hamāre baiThe the

    dil meñ un ke ḳhayāl kis thā

    ġhair se ham ne maat khaa.ī to

    is meñ kahiye kamāl kis thā

    ham gire haiñ agar bulandī se

    dar-haqīqat zavāl kis thā

    bach ke nikle jo lā-ta.alluq the

    bach nikalnā muhāl kis thā

    reg-e-sāhil pe naqsh baaqī hai

    jism vo be-misāl kis thā

    sher sunte haiñ merā kahte haiñ

    aisā nāzuk ḳhayāl kis thā

    baam par chāñd thā magar phir bhī

    chāñdnī meñ jamāl kis thā

    taan ham par aa ke TuuTī hai

    pūchiyegā malāl kis thā

    haq to ye hai nahīñ mile un se

    phir ye collar pe baal kis thā

    pūchhiye kyā kisī nujūmī se

    vaqt kis hai saal kis thā

    vo jo rahte haiñ sirf maazī meñ

    kaise jāneñ ki haal kis thā

    daar par chaḌh gayā 'ayāz' magar

    kis ne pūchhā savāl kis thā

    hijr tha ya visal kis ka tha

    KHwab tha ya KHayal kis ka tha

    samne wo hamare baiThe the

    dil mein un ke KHayal kis ka tha

    ghair se hum ne mat khai to

    is mein kahiye kamal kis ka tha

    hum gire hain agar bulandi se

    dar-haqiqat zawal kis ka tha

    bach ke nikle jo la-talluq the

    bach nikalna muhaal kis ka tha

    reg-e-sahil pe naqsh baqi hai

    jism wo be-misal kis ka tha

    sher sunte hain mera kahte hain

    aisa nazuk KHayal kis ka tha

    baam par chand tha magar phir bhi

    chandni mein jamal kis ka tha

    tan hum par hi aa ke TuTi hai

    puchiyega malal kis ka tha

    haq to ye hai nahin mile un se

    phir ye collar pe baal kis ka tha

    puchhiye kya kisi nujumi se

    waqt kis ka hai sal kis ka tha

    wo jo rahte hain sirf mazi mein

    kaise jaanen ki haal kis ka tha

    dar par chaDh gaya 'ayaz' magar

    kis ne puchha sawal kis ka tha

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now