hijr-zada aaankhon se jab aansu nikle KHamoshi se
hijr-zada ā.ankhoñ se jab aañsū nikle ḳhāmoshī se
kisī ne samjhā raat samay do diip jale ḳhāmoshī se
maiñ bhī aag lagā saktā huuñ is barsāt ke mausam meñ
thoḌī duur talak vo mere saath chale ḳhāmoshī se
shaam kī dhīmī aañch meñ jab ḳhurshīd nahā kar so jaa.e
manzar aapas meñ milte haiñ ḳhuub gale ḳhāmoshī se
barf kī parteñ jab bhī dekhūñ maiñ ūñchī dīvāroñ par
jism sulagne lagtā hai aur dil pighle ḳhāmoshī se
chāhat ke phir phuul khileñge aap kī ye ḳhush-fahmī hai
kapḌe mere sāmne mausam ne badle ḳhāmoshī se
din ke ujāloñ meñ shāyad maiñ ḳhud se bichhḌā rahtā huuñ
raat kī tārīkī meñ ik ḳhvāhish machle ḳhāmoshī se
jab bhī nādīda sapnoñ ne man āñgan meñ raqs kiyā
terī yaad ke jugnū chamke raat Dhale ḳhāmoshī se
mulk-e-suḳhan ke shahzādoñ kī saf meñ khaḌā ho jā.egā
gar tire lahje kī dhaḌkan ḳhushbū ugle ḳhāmoshī se
hijr-zada aaankhon se jab aansu nikle KHamoshi se
kisi ne samjha raat samay do dip jale KHamoshi se
main bhi aag laga sakta hun is barsat ke mausam mein
thoDi dur talak wo mere sath chale KHamoshi se
sham ki dhimi aanch mein jab KHurshid naha kar so jae
manzar aapas mein milte hain KHub gale KHamoshi se
barf ki parten jab bhi dekhun main unchi diwaron par
jism sulagne lagta hai aur dil pighle KHamoshi se
chahat ke phir phul khilenge aap ki ye KHush-fahmi hai
kapDe mere samne mausam ne badle KHamoshi se
din ke ujalon mein shayad main KHud se bichhDa rahta hun
raat ki tariki mein ek KHwahish machle KHamoshi se
jab bhi nadida sapnon ne man aangan mein raqs kiya
teri yaad ke jugnu chamke raat Dhale KHamoshi se
mulk-e-suKHan ke shahzadon ki saf mein khaDa ho jaega
gar tere lahje ki dhaDkan KHushbu ugle KHamoshi se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.