hijrat bhi wahi naql-e-makani bhi wahi hai
hijrat bhī vahī naql-e-makānī bhī vahī hai
ham ḳhāna-ba-doshoñ kī kahānī bhī vahī hai
ye shā.irī karnā koī āsān hai yaaro
jo baat chhupānī hai batānī bhī vahī hai
kamre meñ tire hijr ke jaale bhī vahī haiñ
dīvār pe tasvīr purānī bhī vahī hai
ghar bhī hai abhī tak tirī ḳhushbū se mo.attar
āñgan meñ mire raat kī raanī bhī vahī hai
āñkhoñ meñ tirā aks liye peḌ khaḌe haiñ
rasta ye vahī hai ye nishānī bhī vahī hai
badlā nahīñ kuchh bhī hai vahī dasht-navardī
aur ishq ke dariyā kī ravānī bhī vahī hai
mahfil meñ tujhe dekh ke ḳhāmosh huā huuñ
varna to mirī zūd-bayānī bhī vahī hai
ik shaḳhs ne kyā mujh ko ḳharīdā ki 'sahar' maiñ
arzāñ huā aisā ki girānī bhī vahī hai
hijrat bhi wahi naql-e-makani bhi wahi hai
hum KHana-ba-doshon ki kahani bhi wahi hai
ye shairi karna koi aasan hai yaro
jo baat chhupani hai batani bhi wahi hai
kamre mein tere hijr ke jale bhi wahi hain
diwar pe taswir purani bhi wahi hai
ghar bhi hai abhi tak teri KHushbu se moattar
aangan mein mere raat ki rani bhi wahi hai
aankhon mein tera aks liye peD khaDe hain
rasta ye wahi hai ye nishani bhi wahi hai
badla nahin kuchh bhi hai wahi dasht-nawardi
aur ishq ke dariya ki rawani bhi wahi hai
mahfil mein tujhe dekh ke KHamosh hua hun
warna to meri zud-bayani bhi wahi hai
ek shaKHs ne kya mujh ko KHarida ki 'sahar' main
arzan hua aisa ki girani bhi wahi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.