hijrat ka irada to hamara bhi nahin tha
hijrat kā irāda to hamārā bhī nahīñ thā
par is ke alāva koī chāra bhī nahīñ thā
do bol bhī mīThe nahīñ the ham ko mayassar
ya.anī hameñ tinke kā sahārā bhī nahīñ thā
us vaqt ke sadmoñ ne mujhe chaaT liyā hai
jo vaqt abhī maiñ ne guzārā bhī nahīñ thā
kyā din the ki ġham ho ki ḳhushī dost ki dushman
jo terā nahīñ thā vo hamārā bhī nahīñ thā
us shaḳhs ne zinda bhī nahīñ chhoḌā thā mujh ko
hālāñki mujhe jaan se maarā bhī nahīñ thā
hijrat ka irada to hamara bhi nahin tha
par is ke alawa koi chaara bhi nahin tha
do bol bhi miThe nahin the hum ko mayassar
yani hamein tinke ka sahaara bhi nahin tha
us waqt ke sadmon ne mujhe chaT liya hai
jo waqt abhi main ne guzara bhi nahin tha
kya din the ki gham ho ki KHushi dost ki dushman
jo tera nahin tha wo hamara bhi nahin tha
us shaKHs ne zinda bhi nahin chhoDa tha mujh ko
haalanki mujhe jaan se mara bhi nahin tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.