hijrat karo to rishta-o-saman chhoD kar
hijrat karo to rishta-o-sāmān chhoḌ kar
varna na jaao tum kabhī maidān chhoḌ kar
yuuñ to laḌā.ī jhagḌe kī aadat nahīñ mujhe
phir bhī ġhalat kiyā thā garebān chhoḌ kar
ab koī milne-julne ko aatā nahīñ hai ghar
maiñ bhī huuñ band kamre meñ dālān chhoḌ kar
achchhe bure se paak yahāñ koī shai nahīñ
tum fā.eda ginā karo nuqsān chhoḌ kar
ḳhushbū bikhernā mirī fitrat hai dosto
ḳhushbū bikhertā huuñ maiñ gul-dān chhoḌ kar
hijrat karo to rishta-o-saman chhoD kar
warna na jao tum kabhi maidan chhoD kar
yun to laDai jhagDe ki aadat nahin mujhe
phir bhi ghalat kiya tha gareban chhoD kar
ab koi milne-julne ko aata nahin hai ghar
main bhi hun band kamre mein dalan chhoD kar
achchhe bure se pak yahan koi shai nahin
tum faeda gina karo nuqsan chhoD kar
KHushbu bikherna meri fitrat hai dosto
KHushbu bikherta hun main gul-dan chhoD kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.