hijrat ne yun kiya hai mujhe meri man se dur
hijrat ne yuuñ kiyā hai mujhe merī maañ se duur
yuuñ lag rahā hai jaise huuñ maiñ jism-o-jāñ se duur
rūh-o-badan kā rishta makīn-o-makāñ kā hai
matlab hai maut kā ki makīñ hai makāñ se duur
bāñheñ chhuḌā ke jab vo gayā mere paas se
mujh ko lagā ki maiñ huā dārul-amāñ se duur
jaao kahīñ bhī maut tumheñ aa.egī zarūr
jaanā hai ek roz sabhī ko yahāñ se duur
alfāz bhī haiñ tiir zabāñ bhī hai ik kamāñ
be-soche-samjhe tiir na karnā kamāñ se duur
patjhaḌ meñ jis shajar se vo guzrā to yuuñ huā
aa.ī bahār ho ga.e patte ḳhizāñ se duur
'kāshif' bahut hī soch ke ham ne kiyā hai ishq
sūd-o-ziyāñ se duur tumhāre jahāñ se duur
hijrat ne yun kiya hai mujhe meri man se dur
yun lag raha hai jaise hun main jism-o-jaan se dur
ruh-o-badan ka rishta makin-o-makan ka hai
matlab hai maut ka ki makin hai makan se dur
banhen chhuDa ke jab wo gaya mere pas se
mujh ko laga ki main hua darul-aman se dur
jao kahin bhi maut tumhein aaegi zarur
jaana hai ek roz sabhi ko yahan se dur
alfaz bhi hain tir zaban bhi hai ek kaman
be-soche-samjhe tir na karna kaman se dur
patjhaD mein jis shajar se wo guzra to yun hua
aai bahaar ho gae patte KHizan se dur
'kashif' bahut hi soch ke hum ne kiya hai ishq
sud-o-ziyan se dur tumhaare jahan se dur
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.