hikayat-e-dil-e-mahzun na qissa-e-majnun
hikāyat-e-dil-e-mahzūñ na qissa-e-majnūñ
kisī kī baat sunūñ maiñ na apnī baat kahūñ
to maiñ vahī huuñ jise vo aziiz rakhtā thā
maiñ ḳhud ko soch to luuñ ā.īñe meñ dekh to luuñ
to jis libās meñ kal us ne mujh ko dekhā thā
vahī qamīs pahan kar udhar se phir guzrūñ
vo ek lamha azal-tā-abad vahī lamha
vo mujh se kuchh na kahe maiñ bhī us se kuchh na kahūñ
vo bhuul jaa.e mujhe us ko bhuul jā.ūñ maiñ
charāġh-e-jāñ use nisyāñ ke taaq par rakh duuñ
hikayat-e-dil-e-mahzun na qissa-e-majnun
kisi ki baat sunun main na apni baat kahun
to main wahi hun jise wo aziz rakhta tha
main KHud ko soch to lun aaine mein dekh to lun
to jis libas mein kal us ne mujh ko dekha tha
wahi qamis pahan kar udhar se phir guzrun
wo ek lamha azal-ta-abad wahi lamha
wo mujh se kuchh na kahe main bhi us se kuchh na kahun
wo bhul jae mujhe us ko bhul jaun main
charagh-e-jaan use nisyan ke taq par rakh dun
- Book : Sitara Ya Aasman (Pg. 106)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.