hilti hai zulf jumbish-e-gardan ke sath sath
hiltī hai zulf jumbish-e-gardan ke saath saath
nāgin bhī hai lagī huī rahzan ke saath saath
kis kī kudūratoñ se ye miTTī ḳharāb hai
kis kā ġhubār hai tire dāman ke saath saath
uTThā thā muñh chhupā.e hue maiñ hī sub.h ko
jaatā thā maiñ hī raat ko dushman ke saath saath
kūche meñ us sanam ke ḳhudā.ī kā lutf hai
nāhaq phirā maiñ shaiḳh o brahman ke saath saath
dil kī tapish ne ḳhaak uḌaa.ī ye bā'd-e-marg
lāsha phirā kiyā mirā madfan ke saath saath
allāh apne rashk kā darja bhī ab nahīñ
kis kis jagah gayā but-e-pur-fan ke saath saath
jhoñkā qafas meñ aayā jo bād-e-bahār kā
pahlū se dil nikal chalā san-san ke saath saath
ashkoñ ke saath saath to maujeñ ġhamoñ kī haiñ
āñkhoñ ke sho'le haiñ mire shevan ke saath saath
jis raah se guzarte haiñ vo, mujh se saikḌoñ
ho lete haiñ junūñ-zada ban ban ke saath saath
zanjīr mere paañv ke pīchhe paḌī hai yuuñ
phirtā hai rishta jis tarah sozan ke saath saath
kab tak kisī ko kholeñ kisī ko kareñ vo band
phirtī hai yaañ nigāh to rauzan ke saath saath
yuuñ saath ruuh ke hai tan-e-zār ab 'nizām'
phirtā hai jaise saaya mirā tan ke saath saath
hilti hai zulf jumbish-e-gardan ke sath sath
nagin bhi hai lagi hui rahzan ke sath sath
kis ki kuduraton se ye miTTi KHarab hai
kis ka ghubar hai tere daman ke sath sath
uTTha tha munh chhupae hue main hi subh ko
jata tha main hi raat ko dushman ke sath sath
kuche mein us sanam ke KHudai ka lutf hai
nahaq phira main shaiKH o brahman ke sath sath
dil ki tapish ne KHak uDai ye ba'd-e-marg
lasha phira kiya mera madfan ke sath sath
allah apne rashk ka darja bhi ab nahin
kis kis jagah gaya but-e-pur-fan ke sath sath
jhonka qafas mein aaya jo baad-e-bahaar ka
pahlu se dil nikal chala san-san ke sath sath
ashkon ke sath sath to maujen ghamon ki hain
aankhon ke sho'le hain mere shewan ke sath sath
jis rah se guzarte hain wo, mujh se saikDon
ho lete hain junun-zada ban ban ke sath sath
zanjir mere panw ke pichhe paDi hai yun
phirta hai rishta jis tarah sozan ke sath sath
kab tak kisi ko kholen kisi ko karen wo band
phirti hai yan nigah to rauzan ke sath sath
yun sath ruh ke hai tan-e-zar ab 'nizam'
phirta hai jaise saya mera tan ke sath sath
- Book : kulliyat-e-nizaam (Pg. 266)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.