himmat-o-azm badal jurat-e-kirdar badal
himmat-o-azm badal jurat-e-kirdar badal
Kunwar Mahendra Singh Bedi Sahar
MORE BYKunwar Mahendra Singh Bedi Sahar
himmat-o-azm badal jur.at-e-kirdār badal
ruḳh-e-daurāñ ko palaT vaqt kī raftār badal
ab to kahte ho vafā ham se karoge lekin
vaqt aane pe kahīñ jaa.e na sarkār badal
hashr se qabl kahīñ hashr na barpā ho jaa.e
dekh lillāh zarā shoḳhī-e-raftār badal
gar badaltā hai tujhe dahr kā farsūda nizām
tujh pe lāzim hai ki har baat kā me.aar badal
manzil-e-ishq nahīñ aql ke bas kī ai dost
hai agar sāhib-e-dil qāfila-sālār badal
terī rahmat pe jo hotā na bharosā un ko
ain mumkin hai ki jaate ye gunahgār badal
himmat-o-azm badal jurat-e-kirdar badal
ruKH-e-dauran ko palaT waqt ki raftar badal
ab to kahte ho wafa hum se karoge lekin
waqt aane pe kahin jae na sarkar badal
hashr se qabl kahin hashr na barpa ho jae
dekh lillah zara shoKHi-e-raftar badal
gar badalta hai tujhe dahr ka farsuda nizam
tujh pe lazim hai ki har baat ka mear badal
manzil-e-ishq nahin aql ke bas ki ai dost
hai agar sahib-e-dil qafila-salar badal
teri rahmat pe jo hota na bharosa un ko
ain mumkin hai ki jate ye gunahgar badal
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.