hina ka rang lahu sa libas ya-allah
hinā kā rang lahū sā libās yā-allāh
ajiib vahm ajab iltibās yā-allāh
vafā kā aur batā maiñ subūt kyā detā
bujhā ke ḳhuun se dhartī kī pyaas yā-allāh
tire ḳhayāl se hijrat tire visāl kī aas
kitāb-e-dil kā kaThin iqtibās yā-allāh
mujhe diyā to hai tārīk rāstoñ kā safar
atā ho dil bhī qayāfa-shanās yā-allāh
na koī jhiil na naddī na os kī būñdeñ
jalā na de kahīñ sahrā kī pyaas yā-allāh
vo pahlī pahlī sī bārish vo apnā kachchā ghar
vo soñdhī soñdhī sī miTTī kī baas yā-allāh
use bhī kaash mohabbat kī badduā de jaa.e
faqīr koī darīda libās yā-allāh
junūñ ke haath meñ hai atomī bamoñ kī kalīd
falak udaas zamīñ bad-havās yā-allāh
gunāhgār hai 'bazmī' kā be-libās badan
magar rahe tirī rahmat kā paas yā-allāh
hina ka rang lahu sa libas ya-allah
ajib wahm ajab iltibas ya-allah
wafa ka aur bata main subut kya deta
bujha ke KHun se dharti ki pyas ya-allah
tere KHayal se hijrat tere visal ki aas
kitab-e-dil ka kaThin iqtibas ya-allah
mujhe diya to hai tarik raston ka safar
ata ho dil bhi qayafa-shanas ya-allah
na koi jhil na naddi na os ki bunden
jala na de kahin sahra ki pyas ya-allah
wo pahli pahli si barish wo apna kachcha ghar
wo sondhi sondhi si miTTi ki bas ya-allah
use bhi kash mohabbat ki baddua de jae
faqir koi darida libas ya-allah
junun ke hath mein hai atomi bamon ki kalid
falak udas zamin bad-hawas ya-allah
gunahgar hai 'bazmi' ka be-libas badan
magar rahe teri rahmat ka pas ya-allah
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.