hina ye kahti hai lo be-zaban pa ke mujhe
hinā ye kahtī hai lo be-zabān pā ke mujhe
jab aa.e aap ga.e choriyāñ lagā ke mujhe
na dekhte the kabhī jo nazar uThā ke mujhe
vo dekhte haiñ dam-e-hashr muskurā ke mujhe
hinā ye kahtī hai un se sunā sunā ke mujhe
nahīñ shahīdoñ meñ milnā lahū lagā ke mujhe
nigah se baḌh ke haiñ gustāḳh dast-e-shauq mire
na kosiyegā zarā haath uThā uThā ke mujhe
mirā raqīb mujhī sā rakhā diyā mujh ko
nikālī chheḌ kī shakl aa.ina dikhā ke mujhe
duhā.iyāñ haiñ shab-e-vasl apnī shoḳhī se
ki luuTe lete haiñ joban hasīn pā ke mujhe
zarā se dard ne Dhaa.ī haiñ āfateñ kyā kyā
paTak diyā hai zamīñ par uThā uThā ke mujhe
kahā jo un se charāġh-e-lahad jalāte jaao
havā se tez ga.e vo havā batā ke mujhe
kanār-e-ġhair meñ rāteñ taḌap taḌap ke kaTīñ
rahe na chain se vo qabr meñ sulā ke mujhe
sabā na daaġh lagā tū ye apne dāman ko
kahegī sham-e-lahad kyā milā bujhā ke mujhe
maiñ apne ḳhuun kā beḌā uThā.ūñ ḳhud kyūñkar
vo paan dete haiñ shoḳhī se muskurā ke mujhe
urūs-e-gor ke pahlū meñ chain pā.ūñgā
vahī sulā.egī āġhosh meñ dabā ke mujhe
kahā thā kis ne ki lākhoñ ke dil karo pāmāl
jo kah rahe ho ki laale paḌe hinā ke mujhe
nikāl dūñgā shab-e-vasl bal nazākat ke
Darā liyā hai bahut tevriyāñ chaḌhā ke mujhe
manā liyā tire rūThe hue ko zālim ne
hañsā diyā tire nāvak ne gudgudā ke mujhe
ye haath bāñdh ke kahtā hai dil ke zaḳhm kā chor
huzūr yaad haiñ sab hathkañDe hinā ke mujhe
vo aa ke sharm se kahte haiñ merī turbat par
na dekhe sabza-e-ḳhvābīda sar uThā ke mujhe
ye kyā mazāq farishtoñ ko aaj sūjhā hai
hujūm-e-hashr meñ le aa.e haiñ bulā ke mujhe
miTe huoñ ke miTāne ko ye bhī āñdhī haiñ
raheñge naqsh-e-qadam ḳhaak meñ milā ke mujhe
kahūñgā hashr ke chhoTe se din meñ kyā kyā baat
bahut hī hausle haiñ arz-e-mudda.ā ke mujhe
qayāmat aur qayāmat meñ aa.ī qahr huā
butoñ ne chheḌ diyā sāmne ḳhudā ke mujhe
adā-shanāsoñ ko marte bhī ban nahīñ paḌtī
payām aate haiñ kab se mirī qazā ke mujhe
satāne vaalo qayāmat bhī aa.ī jaatī hai
jafā ke lutf tumhīñ ā.eñge vafā ke mujhe
tamām umr ke shikve miTā.e jaate haiñ
vo dekhte haiñ dam-e-naz.a muskurā ke mujhe
kahāñ vo nuur kī sūrat vo nuur kī āvāz
'riyāz' kaun sunā.e ġhazal ye gā ke mujhe
hina ye kahti hai lo be-zaban pa ke mujhe
jab aae aap gae choriyan laga ke mujhe
na dekhte the kabhi jo nazar uTha ke mujhe
wo dekhte hain dam-e-hashr muskura ke mujhe
hina ye kahti hai un se suna suna ke mujhe
nahin shahidon mein milna lahu laga ke mujhe
nigah se baDh ke hain gustaKH dast-e-shauq mere
na kosiyega zara hath uTha uTha ke mujhe
mera raqib mujhi sa rakha diya mujh ko
nikali chheD ki shakl aaina dikha ke mujhe
duhaiyan hain shab-e-wasl apni shoKHi se
ki luTe lete hain joban hasin pa ke mujhe
zara se dard ne Dhai hain aafaten kya kya
paTak diya hai zamin par uTha uTha ke mujhe
kaha jo un se charagh-e-lahad jalate jao
hawa se tez gae wo hawa bata ke mujhe
kanar-e-ghair mein raaten taDap taDap ke kaTin
rahe na chain se wo qabr mein sula ke mujhe
saba na dagh laga tu ye apne daman ko
kahegi sham-e-lahad kya mila bujha ke mujhe
main apne KHun ka beDa uThaun KHud kyunkar
wo pan dete hain shoKHi se muskura ke mujhe
urus-e-gor ke pahlu mein chain paunga
wahi sulaegi aaghosh mein daba ke mujhe
kaha tha kis ne ki lakhon ke dil karo pamal
jo kah rahe ho ki lale paDe hina ke mujhe
nikal dunga shab-e-wasl bal nazakat ke
Dara liya hai bahut tewriyan chaDha ke mujhe
mana liya tere ruThe hue ko zalim ne
hansa diya tere nawak ne gudguda ke mujhe
ye hath bandh ke kahta hai dil ke zaKHm ka chor
huzur yaad hain sab hathkanDe hina ke mujhe
wo aa ke sharm se kahte hain meri turbat par
na dekhe sabza-e-KHwabida sar uTha ke mujhe
ye kya mazaq farishton ko aaj sujha hai
hujum-e-hashr mein le aae hain bula ke mujhe
miTe huon ke miTane ko ye bhi aandhi hain
rahenge naqsh-e-qadam KHak mein mila ke mujhe
kahunga hashr ke chhoTe se din mein kya kya baat
bahut hi hausle hain arz-e-muddaa ke mujhe
qayamat aur qayamat mein aai qahr hua
buton ne chheD diya samne KHuda ke mujhe
ada-shanason ko marte bhi ban nahin paDti
payam aate hain kab se meri qaza ke mujhe
satane walo qayamat bhi aai jati hai
jafa ke lutf tumhin aaenge wafa ke mujhe
tamam umr ke shikwe miTae jate hain
wo dekhte hain dam-e-naza muskura ke mujhe
kahan wo nur ki surat wo nur ki aawaz
'riyaz' kaun sunae ghazal ye ga ke mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.