Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hindson ke badalne se taqdir na badlegi

Shagufta Naim Hashmi

hindson ke badalne se taqdir na badlegi

Shagufta Naim Hashmi

MORE BYShagufta Naim Hashmi

    hindsoñ ke badalne se taqdīr na badlegī

    chehra jo na badlā to tasvīr na badlegī

    jab honī aTal ho to phir ho ke rahtī hai

    jo lauh pe likkhī hai tahrīr na badlegī

    badloge ḳhayāloñ ko to ḳhvāb bhī badleñge

    jab ḳhvāb na badle to ta.abīr na badlegī

    lahja bhī zarā apnā thoḌā badal dekheñ

    lafzoñ ke badalne se tāsīr na badlegī

    is zehnī ġhulāmī se chāhoge to nikaloge

    ġhilmān na badle to zanjīr na badlegī

    tum aap agar apnī izzat na karoge to

    nazroñ meñ zamāne tauqīr na badlegī

    hindson ke badalne se taqdir na badlegi

    chehra jo na badla to taswir na badlegi

    jab honi aTal ho to phir ho ke hi rahti hai

    jo lauh pe likkhi hai tahrir na badlegi

    badloge KHayalon ko to KHwab bhi badlenge

    jab KHwab na badle to tabir na badlegi

    lahja bhi zara apna thoDa sa badal dekhen

    lafzon ke badalne se tasir na badlegi

    is zehni ghulami se chahoge to nikaloge

    ghilman na badle to zanjir na badlegi

    tum aap agar apni izzat na karoge to

    nazron mein zamane ki tauqir na badlegi

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now