Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hindu hai kaun shakl-e-musalman mein kaun hai

Shah Khamosh Sabri

hindu hai kaun shakl-e-musalman mein kaun hai

Shah Khamosh Sabri

MORE BYShah Khamosh Sabri

    hindū hai kaun shakl-e-musalmāñ meñ kaun hai

    haivāñ hai kaun sūrat-e-insāñ meñ kaun hai

    sahrā meñ kaun koh-o-bayābāñ meñ kaun hai

    gulshan meñ kaun bāġh-e-gulistāñ meñ kaun hai

    sūrat judā hai sab magar ek vajūd

    gul meñ hai kaun ḳhār-e-muġhīlāñ meñ kaun hai

    āshiq ko ġham nasīb hai māshūq ko ḳhushī

    bulbul meñ kaun hai gul-e-ḳhandāñ meñ kaun hai

    ye kis chashm-e-yār haiñ vo aks-e-zulf-e-yār

    sumbul meñ kaun nargis-e-hairāñ meñ kaun hai

    suufī hai koī bā-safā aur koī bāda-nosh

    masjid meñ kaun mahfil-e-rindāñ meñ kaun hai

    'ḳhāmosh' dekh arz-o-samā meñ hai kis nuur

    sūraj meñ kaun māh-e-daraḳhshāñ meñ kaun hai

    hindu hai kaun shakl-e-musalman mein kaun hai

    haiwan hai kaun surat-e-insan mein kaun hai

    sahra mein kaun koh-o-bayaban mein kaun hai

    gulshan mein kaun bagh-e-gulistan mein kaun hai

    surat juda hai sab ki magar ek hi wajud

    gul mein hai kaun KHar-e-mughilan mein kaun hai

    aashiq ko gham nasib hai mashuq ko KHushi

    bulbul mein kaun hai gul-e-KHandan mein kaun hai

    ye kis ki chashm-e-yar hain wo aks-e-zulf-e-yar

    sumbul mein kaun nargis-e-hairan mein kaun hai

    sufi hai koi ba-safa aur koi baada-nosh

    masjid mein kaun mahfil-e-rindan mein kaun hai

    'KHamosh' dekh arz-o-sama mein hai kis ka nur

    suraj mein kaun mah-e-daraKHshan mein kaun hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now