hindu muslim ke liye koi saza kyon mangun
hindū muslim ke liye koī sazā kyoñ māñgūñ
zulm insān pe ho aisī duā kyoñ māñgūñ
laakh majbūr sahī phir bhī karūñgā na savāl
māñgnā jin se gunah hai to bhalā kyoñ māñgūñ
zikr kartā huuñ gunāhoñ kī talāfī ke liye
hosh rakhtā huuñ bhalā koī ḳhatā kyoñ māñgūñ
merī taqdīr meñ pākīza havā hai shāmil
har kisī peḌ se lipTe vo havā kyoñ māñgūñ
jab ki tūfān meñ chaltī hai hamārī kashtī
TuuTe dil kī koī halkī sī sadā kyoñ māñgūñ
ghar bulātā hai mujhe phir koī maġhrūr 'zamīr'
mujh ko jaanā hī nahīñ hai to pata kyoñ māñgūñ
hindu muslim ke liye koi saza kyon mangun
zulm insan pe ho aisi dua kyon mangun
lakh majbur sahi phir bhi karunga na sawal
mangna jin se gunah hai to bhala kyon mangun
zikr karta hun gunahon ki talafi ke liye
hosh rakhta hun bhala koi KHata kyon mangun
meri taqdir mein pakiza hawa hai shamil
har kisi peD se lipTe wo hawa kyon mangun
jab ki tufan mein chalti hai hamari kashti
TuTe dil ki koi halki si sada kyon mangun
ghar bulata hai mujhe phir koi maghrur 'zamir'
mujh ko jaana hi nahin hai to pata kyon mangun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.