hindu na ban saka main musalman na ban saka
hindū na ban sakā maiñ musalmāñ na ban sakā
giitā sunī na hāfiz-e-qurāñ na ban sakā
maiñ dard-e-sar to ban gayā har ek ke liye
lekin kisī ke dard kā darmāñ na ban sakā
masnad-nashīñ na ban sakā ye aur baat thī
sad haif tere dar kā bhī darbāñ na ban sakā
ḳhud meñ samā ke ḳhud ko hī kartā rahā salām
apne sivā kisī kā sanā-ḳhvāñ na ban sakā
kitne hī shād-kām bashar se ḳhudā hue
maiñ bad-nasīb aaj tak insāñ na ban sakā
kāñTā to ban gayā maiñ kisī ḳhārzār meñ
lekin kabhī gul-e-chamanistāñ na ban sakā
sher-o-suḳhan meñ yuuñ to guzārī tamām umr
is par bhī 'āzam' ek suḳhan-dāñ na ban sakā
hindu na ban saka main musalman na ban saka
gita suni na hafiz-e-quran na ban saka
main dard-e-sar to ban gaya har ek ke liye
lekin kisi ke dard ka darman na ban saka
masnad-nashin na ban saka ye aur baat thi
sad haif tere dar ka bhi darban na ban saka
KHud mein sama ke KHud ko hi karta raha salam
apne siwa kisi ka sana-KHwan na ban saka
kitne hi shad-kaam bashar se KHuda hue
main bad-nasib aaj tak insan na ban saka
kanTa to ban gaya main kisi KHarzar mein
lekin kabhi gul-e-chamanistan na ban saka
sher-o-suKHan mein yun to guzari tamam umr
is par bhi 'azam' ek suKHan-dan na ban saka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.