hirman ke daere se nikal jaana chahiye
hirmāñ ke dā.ere se nikal jaanā chāhiye
jo bujh gayā charāġh vo jal jaanā chāhiye
aao ki lab pe sho.ala-e-harf-e-navā sahī
ye raat kā hisār pighal jaanā chāhiye
uThne lagā navishta-e-dīvār se dhuāñ
is vaqt aadmī ko sañbhal jaanā chāhiye
shahr-e-anā meñ phir koī patthar uchhāl duuñ
is baar phir harīf ko jal jaanā chāhiye
hālāt ke subū meñ jo hai maujzan 'ayāz'
dil ke tahī ayāġh meñ Dhal jaanā chāhiye
hirman ke daere se nikal jaana chahiye
jo bujh gaya charagh wo jal jaana chahiye
aao ki lab pe shoala-e-harf-e-nawa sahi
ye raat ka hisar pighal jaana chahiye
uThne laga nawishta-e-diwar se dhuan
is waqt aadmi ko sanbhal jaana chahiye
shahr-e-ana mein phir koi patthar uchhaal dun
is bar phir harif ko jal jaana chahiye
haalat ke subu mein jo hai maujzan 'ayaz'
dil ke tahi ayagh mein Dhal jaana chahiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.