hirs-e-dua na ho hawas-e-iltija na ho
hirs-e-duā na ho havas-e-iltijā na ho
ulfat kā jab maza hai koī mudda.ā na ho
tū un kī bevafā.ī pe shikva-sarā na ho
qadr-e-vafā na ho vo agar bevafā na ho
tasvīr ban ke dekh ba-ādāb-e-dīd unheñ
jumbish na ho nigāh ko dil boltā na ho
āsūdagān-e-aish batā.eñ vo kyā kare
jis ko ba-qadr-e-hausla ġham bhī milā na ho
ai be-ḳhudī ḳhudī kī taraf aañkh pher de
dekheñ kahīñ hijāb-e-ḳhudī meñ ḳhudā na ho
is vaqt shāyad un kā patā mil sake tujhe
jab terā apnī hastī kī had tak patā na ho
iz.hār-e-mudda.ā ho 'shifā' is adā ke saath
dast-e-duā bhī vāqif-e-nafs-e-duā na ho
hirs-e-dua na ho hawas-e-iltija na ho
ulfat ka jab maza hai koi muddaa na ho
tu un ki bewafai pe shikwa-sara na ho
qadr-e-wafa na ho wo agar bewafa na ho
taswir ban ke dekh ba-adab-e-did unhen
jumbish na ho nigah ko dil bolta na ho
aasudagan-e-aish bataen wo kya kare
jis ko ba-qadr-e-hausla gham bhi mila na ho
ai be-KHudi KHudi ki taraf aankh pher de
dekhen kahin hijab-e-KHudi mein KHuda na ho
is waqt shayad un ka pata mil sake tujhe
jab tera apni hasti ki had tak pata na ho
izhaar-e-muddaa ho 'shifa' is ada ke sath
dast-e-dua bhi waqif-e-nafs-e-dua na ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.