hirs-e-mal-o-manal mein khoya
hirs-e-māl-o-manāl meñ khoyā
ham ne fardā bhī haal meñ khoyā
ek lamha thā tujh ko paane kā
vo bhī fikr-e-ma.āl meñ khoyā
maiñ ne pindār-e-āshiqī saarā
ik adhūre savāl meñ khoyā
vo sitārā jo raah dikhlātā
ḳhud ġhurūr-e-kamāl meñ khoyā
kārvāñ mahv hai añdheroñ meñ
rahnumā qīl-o-qāl meñ khoyā
sā.ateñ sar-nigūñ guzartī haiñ
vaqt is ke ḳhayāl meñ khoyā
maiñ bhī karb-e-talab meñ gum 'partau'
vo bhī sehr-e-jamāl meñ khoyā
hirs-e-mal-o-manal mein khoya
hum ne farda bhi haal mein khoya
ek lamha tha tujh ko pane ka
wo bhi fikr-e-maal mein khoya
main ne pindar-e-ashiqi sara
ek adhure sawal mein khoya
wo sitara jo rah dikhlata
KHud ghurur-e-kamal mein khoya
karwan mahw hai andheron mein
rahnuma qil-o-qal mein khoya
saaten sar-nigun guzarti hain
waqt is ke KHayal mein khoya
main bhi karb-e-talab mein gum 'partau'
wo bhi sehr-e-jamal mein khoya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.