hirs ke bab mein yun KHud ko tumhaara kar ke
ishq ke baab meñ yuuñ ḳhud ko tumhārā kar ke
haath maltā huuñ maiñ apnā hī ḳhasāra kar ke
ab mire zehn meñ bas lazzat-e-duniyā hai ravāñ
thak chukā huuñ tirī ulfat pe guzāra kar ke
ham abhī sohbat-e-duniyā meñ haiñ masrūf magar
koī shab tum ko bhī dekheñge gavāra kar ke
ham se ḳhāmosh tabī.at bhī haiñ duniyā meñ ki jo
us ko hī chāhte haiñ us se kināra kar ke
der tak koī na thā raah batāne vaalā
aur phir le ga.ī ik mauj ishāra kar ke
ishq ke bab mein yun KHud ko tumhaara kar ke
hath malta hun main apna hi KHasara kar ke
ab mere zehn mein bas lazzat-e-duniya hai rawan
thak chuka hun teri ulfat pe guzara kar ke
hum abhi sohbat-e-duniya mein hain masruf magar
koi shab tum ko bhi dekhenge gawara kar ke
hum se KHamosh tabiat bhi hain duniya mein ki jo
us ko hi chahte hain us se kinara kar ke
der tak koi na tha rah batane wala
aur phir le gai ek mauj ishaara kar ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.