hirs-o-hawa ke hain sab bande kuchh bhi KHuda se kaam nahin
hirs-o-hawa ke hain sab bande kuchh bhi KHuda se kaam nahin
Khwaja Lateef Ahmad Jareeh
MORE BYKhwaja Lateef Ahmad Jareeh
hirs-o-havā ke haiñ sab bande kuchh bhī ḳhudā se kaam nahīñ
tuf hai aise jiine par hai jis kā nek anjām nahīñ
maiñ ne hī pahle dekhā thā maiñ hī girā thā ġhash khā kar
maiñ hī mulzim maiñ hī mujrim aap pe kuchh ilzām nahīñ
hālat-e-naza.a mat pūchho tum sakta kā sā aalam hai
ab koī dam kā hai mehmāñ sub.h huī to shaam nahīñ
hālat kyā hai 'jarīh'-e-ḳhasta kuchh muñh se to batlāo
sun ke ġham meñ ho sar-gashta yaad bhī us kā naam nahīñ
hirs-o-hawa ke hain sab bande kuchh bhi KHuda se kaam nahin
tuf hai aise jine par hai jis ka nek anjam nahin
main ne hi pahle dekha tha main hi gira tha ghash kha kar
main hi mulzim main hi mujrim aap pe kuchh ilzam nahin
haalat-e-naza mat puchho tum sakta ka sa aalam hai
ab koi dam ka hai mehman subh hui to sham nahin
haalat kya hai 'jarih'-e-KHasta kuchh munh se to batlao
sun ke gham mein ho sar-gashta yaad bhi us ka nam nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.