hirs-o-hawas ke aage na kuchh bhi dikhai de
hirs-o-havas ke aage na kuchh bhī dikhā.ī de
insān apne qad se bhī chhoTā dikhā.ī de
apne diloñ kā khoT nazar aatā nahīñ hai
sikka parāyā ho to vo khoTā dikhā.ī de
koī to aisā shaḳhs mujhe DhūñD ke lā do
insāniyat kā bojh jo Dhotā dikhā.ī de
kyā nāzukī hai aaj dil-e-fitna-sāz kī
ḳhud ko lage jo Thes to rotā dikhā.ī de
gar lahroñ ke mizāj ko samjhe na nāḳhudā
sāhil pe hī safīna Dubotā dikhā.ī de
zauq-e-junūñ meñ ḳhud ko farāmosh kar diyā
'shahnāz' ko ārām na hotā dikhā.ī de
hirs-o-hawas ke aage na kuchh bhi dikhai de
insan apne qad se bhi chhoTa dikhai de
apne dilon ka khoT nazar aata nahin hai
sikka paraya ho to wo khoTa dikhai de
koi to aisa shaKHs mujhe DhunD ke la do
insaniyat ka bojh jo Dhota dikhai de
kya nazuki hai aaj dil-e-fitna-saz ki
KHud ko lage jo Thes to rota dikhai de
gar lahron ke mizaj ko samjhe na naKHuda
sahil pe hi safina Dubota dikhai de
zauq-e-junun mein KHud ko faramosh kar diya
'shahnaz' ko aaram na hota dikhai de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.