hirs-o-hawas ne DhunDe hain unwan nae-nae
hirs-o-havas ne DhūñDe haiñ unvāñ na.e-na.e
dil-bastagī ke hote haiñ sāmāñ na.e na.e
tahzīb bhī badal ga.ī badlī muāshrat
fashion ke roz hote haiñ sāmāñ na.e-na.e
bazm-e-suḳhan-varāñ meñ bhī hotī haiñ jiddateñ
ahl-e-suḳhan na.e haiñ suḳhan-dāñ na.e-na.e
manzil bahut qarīb hai umr-e-ravāñ kī ab
dil phir bhī kartā rahtā hai armāñ na.e-na.e
ham jaise kam-nigāhoñ ko jā-e-panah nahīñ
sahrā na.e-na.e haiñ gulistāñ na.e-na.e
'najma' bhulā do guzre zamāne kī yaad ko
letī hai moḌ gardish-e-daurāñ na.e-na.e
hirs-o-hawas ne DhunDe hain unwan nae-nae
dil-bastagi ke hote hain saman nae nae
tahzib bhi badal gai badli muashrat
fashion ke roz hote hain saman nae-nae
bazm-e-suKHan-waran mein bhi hoti hain jiddaten
ahl-e-suKHan nae hain suKHan-dan nae-nae
manzil bahut qarib hai umr-e-rawan ki ab
dil phir bhi karta rahta hai arman nae-nae
hum jaise kam-nigahon ko ja-e-panah nahin
sahra nae-nae hain gulistan nae-nae
'najma' bhula do guzre zamane ki yaad ko
leti hai moD gardish-e-dauran nae-nae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.