his-e-kina adawat kaTti hai
his-e-kina adawat kaTti hai
Sufi Mohammad Tanveer Sajid Naqshbandi
MORE BYSufi Mohammad Tanveer Sajid Naqshbandi
his-e-kīna adāvat kāTtī hai
ki nafrat ko mohabbat kāTtī hai
har ik mushkil aur aafat kāTtī hai
musībat ko musībat kāTtī hai
na ghabrā sab kī zahmat kāTtī hai
ḳhudā kī shaan rahmat kāTtī ye
jahannum sard kar deñ ashk mere
gunāhoñ ko ibādat kāTtī hai
amal kar nekiyoñ ke biij bo le
pake jab fasl mehnat kāTtī hai
na liije qarz hargiz dostī meñ
ye vo shai hai mohabbat kāTtī hai
nahīñ haiñ tan pe armānoñ ke zevar
ise ab merī chāhat kāTtī hai
bahut thoḌe bache din zindagī ke
bahut fikr-e-qayāmat kāTtī hai
ba-zāhir maiñ bhī sāya-vār ghar huuñ
magar andar tamāzat kāTtī hai
mirī shohrat kī nāgin mujh ko 'sājid'
mirī apnī badaulat kāTtī hai
his-e-kina adawat kaTti hai
ki nafrat ko mohabbat kaTti hai
har ek mushkil aur aafat kaTti hai
musibat ko musibat kaTti hai
na ghabra sab ki zahmat kaTti hai
KHuda ki shan rahmat kaTti ye
jahannum sard kar den ashk mere
gunahon ko ibaadat kaTti hai
amal kar nekiyon ke bij bo le
pake jab fasl mehnat kaTti hai
na lije qarz hargiz dosti mein
ye wo shai hai mohabbat kaTti hai
nahin hain tan pe armanon ke zewar
ise ab meri chahat kaTti hai
bahut thoDe bache din zindagi ke
bahut fikr-e-qayamat kaTti hai
ba-zahir main bhi saya-war ghar hun
magar andar tamazat kaTti hai
meri shohrat ki nagin mujh ko 'sajid'
meri apni badaulat kaTti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.