hisar-e-ashiqi mein wajd ki haalat mein rahta hun
hisār-e-āshiqī meñ vajd kī hālat meñ rahtā huuñ
bahāreñ mujh meñ ḳhema-zan haiñ maiñ rāhat meñ rahtā huuñ
kabhī masrūf thā maiñ āj-kal fursat meñ rahtā huuñ
akelā huuñ so apnī zaat kī vus.at meñ rahtā huuñ
jo tū ne aag baḳhshī hai usī meñ jal rahā huuñ maiñ
hai tere qurb kī chāhat isī chāhat meñ rahtā huuñ
na kuchh paane kī hasrat hai na kuchh khone kā ḳhatra hai
bahut be-ḳhauf ho kar maiñ tirī sohbat meñ rahtā huuñ
nikal aayā huuñ maiñ 'ālok' duniyā ke jhameloñ se
na.ī bedāriyāñ haiñ fikr kī jannat meñ rahtā huuñ
hisar-e-ashiqi mein wajd ki haalat mein rahta hun
bahaaren mujh mein KHema-zan hain main rahat mein rahta hun
kabhi masruf tha main aaj-kal fursat mein rahta hun
akela hun so apni zat ki wusat mein rahta hun
jo tu ne aag baKHshi hai usi mein jal raha hun main
hai tere qurb ki chahat isi chahat mein rahta hun
na kuchh pane ki hasrat hai na kuchh khone ka KHatra hai
bahut be-KHauf ho kar main teri sohbat mein rahta hun
nikal aaya hun main 'alok' duniya ke jhamelon se
nai bedariyan hain fikr ki jannat mein rahta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.